When Devine Powers Reside The Writers, The Emotions Get Roasted on the Papers

Sunday, March 14, 2010

Dooriyaan aur Faasle

Mit ke likhdi ye tere pyaar ki kahani dekh kaise bik gaya main mitti ke daam,
Pyaar ki kahani jise main hi sunta hoon aur main hi gun-gunata hoon, suna ho kabhi to aaj le mera naam.

Jaate hue parindo ko dekhta tha, subha hone se pahle unke aane ka intezaar bhi karta tha,
Parinde gaye to vapas nahi aye, shayad mera ghosla zindagi ki dhoop mein sookh gaya tha.

Pyaar karna to tune rang aur khushbu dhoondati titliyon se seekha tha, kaise dekhti tu is berukh kapaas ki safedi ko.
Fool na koi ras, main safed, teri rangat ko dekh kar bhikhar gaya dekho.

Dooriyan aur faasle kya hote hain, aa chal ke dekh mere saath apni or,
Kaise pairon mein chaale padte hain, kaise dil toot-te hain, kaise bhikda pada hoon main pyaar ki sadak ke us mod.