When Devine Powers Reside The Writers, The Emotions Get Roasted on the Papers

Saturday, August 15, 2009

Aye Mei Zindai

Mitti Jhulas kar patthar ban gayi,
Meri Saanson mein ye hawa lo aaj simat gayi.
Door itna aa gaya hoon aur ab shaam ho chali hai,
Ab kahan jaoon, vahin shayad jahan mujhe meri soch kheench rahi hai.


Hadein paar ki, saare usoolon ko toda,
Is ke baad bhi tujhe paya na to shayad maine apni shaksiyat ka wazan na tola.
Woh kasak, vo junoon tere jaate hi sar par chhad jaata hai,
Mera kya hai, mian to vo pyaasa baadal hoon jo maksad ki pyaas mein uda chala jaata hai.


Is baar ek aisa tohfa de ja,
Dil seena faad kar bahar aa jaye,
Khoon ragon mein daud jaye aise,
Jaise zameen se lava phoot jaye
Tujh se koi gila na hoga aye zindagi,
Bas is baar apni bulandiyon ka saamna kuch aise kara ja
Ki unchayiyon se se neeche dekhna bhi namumkin ho jaye.

Monday, August 10, 2009

AAJKAL

Aaajkal logon ko ahsaas nahi hota,
Aajkal dilon ka mel nahi hota.
Aajkal bas dhoop mien sulagti khushbu hai , jise udne se rokna bas mien nahi hota.

Hum se main aur tum ho jaate hain,
Pal mien ye rishte badal jaate hain,
Bahte paani se thande ye dil ho jaate hain, jinme na main na tum aur na hum saanse le paate hian.

Aaj, kal aur kal kya tha, ye sochne ka waqt kiske paas hai,
Hai to insaan hi, jahan pyaar mile vahi khicha chala jaata hai.
Ye Dil, ye dard aji huzur kaun chumega, ab to waqt hi doosron ke ghar dil bahlaane chala jaata hai.

Aajkal kaun sochta hia ki kaash aisa kuch hota
Aajkal dilon mein shayad vo sailaab umda hota,
Aajkal kaash dhoop kuch kam nikalti, khushbu udti hui shayad thodi kam jhulasti
Aaajkal logon ko ahsaas nahi hota,
Aajkal dilon ka mel nahi hota.
Aajkal bas dhoop mien sulagti khushbu hai , jise udne se rokna bas mien nahi hota.



--Puruvardhan