Aaajkal logon ko ahsaas nahi hota,
Aajkal dilon ka mel nahi hota.
Aajkal bas dhoop mien sulagti khushbu hai , jise udne se rokna bas mien nahi hota.
Hum se main aur tum ho jaate hain,
Pal mien ye rishte badal jaate hain,
Bahte paani se thande ye dil ho jaate hain, jinme na main na tum aur na hum saanse le paate hian.
Aaj, kal aur kal kya tha, ye sochne ka waqt kiske paas hai,
Hai to insaan hi, jahan pyaar mile vahi khicha chala jaata hai.
Ye Dil, ye dard aji huzur kaun chumega, ab to waqt hi doosron ke ghar dil bahlaane chala jaata hai.
Aajkal kaun sochta hia ki kaash aisa kuch hota
Aajkal dilon mein shayad vo sailaab umda hota,
Aajkal kaash dhoop kuch kam nikalti, khushbu udti hui shayad thodi kam jhulasti
Aaajkal logon ko ahsaas nahi hota,
Aajkal dilon ka mel nahi hota.
Aajkal bas dhoop mien sulagti khushbu hai , jise udne se rokna bas mien nahi hota.
--Puruvardhan
No comments:
Post a Comment